Surah Tagabun Ki Fazilat
Surah Taghabun Ka Tarjuma, Fazilat Aur Wazifa - Gham, Nuqsan Aur Har Mushkil Se Nijat* *Bismillah Hirrahman Nirrahim* *Surah Taghabun Ka Taaruf* Surah Taghabun Quran Pak ki 64wi Surah hai. Ye Madni Surah hai. Isme 18 Ayat aur 2 Ruku hain. Ye Para 28 me hai. Taghabun ka matlab hai "Haar Jeet / Nuqsan". Qayamat ke din ko Youm-ut-Taghabun is liye kehte hain ke us din koi jeetega aur koi haarega. Ye Surah bohot sabr wali Surah hai. *Surah Taghabun Ka Tarjuma (Khulasa)* Allah ne farmaya: 1. Jo kuch asmano aur zameen me hai, sab Allah ki tasbeeh karte hain. 2. Usine tumhe paida kiya, phir koi kafir hai aur koi momin. 3. Allah ne asman o zameen ko haq ke saath paida kiya aur tumhari sooratein banayeen. 4. Jo musibat pahunchti hai, Allah ke hukam se pahunchti hai. Jo Allah par imaan laye, Allah uske dil ko hidayat deta hai. 5. Apni biwiyon aur aulaad me se kuch tumhare dushman hain, unse hoshiyar raho aur maaf karo. Paigham ye hai ke har nuqsan aur gham Allah ki taraf se azmaish hai...