Surah Rehman
Surah Rahman Quran-e-Pak ki 55th Surah hai jo Para 27 me hai. Ye Madni Surah hai aur iski 78 Ayat hain. Is Surah ko Quran ki Zeenat kaha jata hai. Is Surah me Allah ki nehmaton ka zikr hai aur baar baar farmaya gaya hai Fabiai Alaa E Rabbikuma Tukazziban ke tum apne Rab ki kon kon si nehmat ko jhutlaoge. Ye Surah bohat hi khubsurat aur dil ko sukoon dene wali hai.
*Surah Rahman Ka Tarjuma (Mukhtasar):*
Rehman ne Quran sikhaya, insan ko paida kiya, use bolna sikhaya. Suraj aur chand hisab se hain. Sitare aur darakht sajda karte hain. Allah ne zameen ko makhlooq ke liye banaya. Isme phal hain, khajoor ke darakht hain, khushbudar phool hain. Pas tum apne Rab ki kon si nehmat ko jhutlaoge. Har cheez fana hone wali hai sirf Allah ki zaat baqi rahegi. Jo shakhs Allah se darta hai uske liye 2 Jannaten hain.
*Surah Rahman Ki Fazilat:*
1. Dil ke sukoon ke liye Surah Rahman se behtar koi Surah nahi. Agar depression ho, bechaini ho to iski tilawat sunen.
2. Shadi ke liye ye Surah bohat mujarrab hai. Jin ladkiyon ki shadi me rukawat ho woh isko rozana parhen.
3. Beemari se shifa ke liye Surah Rahman ka pani dam karke pilaya jata hai. Dr. Junaid Jamshed ke clinic par bhi iska wazifa karaya jata hai.
4. Rizq me barkat hoti hai aur ghar me rehmat nazil hoti hai.
5. Qayamat ke din ye Surah parhne wale ko Allah ke arsh ka saya naseeb hoga.
*Surah Rahman Ke Mujarrab Wazaif:*
*1. Shadi Aur Mohabbat Ka Wazifa:*
Agar shadi me rukawat ho, rishta na ata ho ya pasand ki shadi me mushkil ho to Surah Rahman ko rozana 1 martaba Fajr ke baad 21 din tak parhen. Parhne ke baad Allah se shadi ke liye dua karen. Ladkiyan ye wazifa khud kar sakti hain. Bohat se logon ki is wazifa se 21 din me shadi hogayi hai.
*2. Beemari Se Shifa Ka Wazifa:*
Koi lambi beemari ho, cancer ho, dil ka masla ho to mareez ke pas baith kar Surah Rahman ki tilawat lagayen aur 3 dafa Surah Rahman parh kar pani par dam karke mareez ko pilayen. 40 din tak ye amal karen. Qari Abdul Basit ki awaz me Surah Rahman sunna bhi shifa hai.
*3. Depression Aur Jadu Ka Wazifa:*
Agar ghar me jhagde hon, sakht ghabrahat ho to subah shaam Surah Rahman ki tilawat ghar me lagayen. Ghar ki faza khushgawar ho jayegi.
*4. Rizq Aur Karobar Ka Wazifa:*
Rozana karobar shuru karne se pehle 1 dafa Surah Rahman parhen, karobar me din dugni tarakki hogi.
*Khatma:*
Surah Rahman Allah ki mohabbat ka paigham hai. Is Surah ko rozana parhne ki adat banayen. Isse Allah razi hota hai aur duniya ke gham khatam hote hain. Allah hum sab ko iski tilawat ki tofeeq de. Ameen.
@AllahKe99Naam-ayesh

Subhan Allah
ReplyDelete