Al Aziz Ki Fazilat
Al-Aziz ka Matlab, Fazilat, Wazifa aur Barkat Allah Taala ke 99 Asma-ul-Husna me se ek bohat hi pyara naam Al-Aziz hai. Al-Aziz ka matlab hai "Sab par Ghalib, Zabardast aur Izzat Dene Wala". Yani wo zaat jo har cheez par ghalib hai, jise koi hara nahi sakta aur sari izzatein usi ke paas hain. Quran Pak me Al-Aziz ka zikr 92 martaba aaya hai. Aksar Allah ne apne aap ko Al-Aziz-ul-Hakeem kaha hai, matlab wo zabardast bhi hai aur hikmat wala bhi hai. Al-Aziz ki Fazilat aur Fayde: 1. Izzat aur Martaba Me Izafa: Jo shakhs rozana 40 din tak 40 martaba "Ya Aziz" parhta hai, Allah Taala usko logon me izzatdar bana deta hai. Log uski izzat karne lagte hain aur uska martaba buland hota hai. 2. Dushman Se Hifazat: Agar kisi ko dushman se khatra ho ya koi zalim tang kar raha ho, to rozana 41 martaba Ya Aziz parh kar dushman ki taraf dum karne se Allah usko dushman ke shar se mehfooz rakhta hai. 3. Ghurbat aur Muflisi Khatam: Jo shakhs gharibi se tang ho, wo Isha ki namaz ke b...