Surah Yaseen Quran Ka Dil


 Bismillahir Rahmanir Raheem


Assalam O Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu,


Main Ayesha Naz, North Karachi, Pakistan se. Aaj main aap sab behnon ke liye Quran Pak ki sab se pyari Surah, Surah Yaseen ke bare me tafseel se baat karungi. Isko Quran Ka Dil kaha jata hai aur iska parhna dil ko sukoon deta hai.


TAARUF E SURAH YASEEN:


Surah Yaseen Quran Pak ki 36th Surah hai. Ye Makki Surah hai, matlab Makkah Mukarrama me Nazil hui. Is me kul 83 Ayatain hain, 5 Ruku hain. Iska naam Yaseen is liye rakha gaya kyunki iski pehli ayat Ya Seen hai. Ulama kehte hain Yaseen hamare Pyare Nabi Hazrat Muhammad S.A.W ka naam bhi hai. Allah ne apne Mehboob ko Yaseen keh kar pukara.


SURAH YASEEN KA TARJUMA (Mukammal Khulasa):


Is Surah ko 3 hisson me samajhte hain.


Pehla Hissa (Ayat 1-32) - Risalat Aur Dawat:

Allah Farmata hai: Yaseen! Qasam hai Hikmat wale Quran ki! Beshak Aap (S.A.W) Rasoolon me se hain, jo seedhe raaste par hain. Ye Quran Ghalib, Meherban Allah ki taraf se utara gaya hai taake aap us qoum ko darayein jinke baap dada ko nahi daraya gaya, to wo ghafil hain.


Phir Allah ek basti walon ki misaal deta hai. Us basti me Allah ne 2 Rasool bheje, logon ne unko jhutlaya, phir Allah ne teesre Rasool se taqat di. Basti wale bole tum to hamare jaise insan ho, Allah ne kuch nahi utara. Rasool bole hamara kaam sirf paigham pohchana hai. Basti walo ne kaha agar baaz na aaye to hum tumhe sangsaar kar denge.


Itne me sheher ke kinare se ek mard daudta hua aaya, uska naam Habib Najjar tha. Usne kaha: Aye meri qoum! In Rasoolon ki pairwi karo! Jo tum se koi ujrat nahi mangte aur hidayat par hain. Kya main us Allah ki ibadat na karun jisne mujhe paida kiya? Zalimon ne us nek mard ko shaheed kar diya. Allah ne farmaya: Jannat me dakhil ho ja. Us mard ne kaha: Kaash meri qoum ko pata chal jaye ke mere Rab ne mujhe bakhsh diya aur izzat walon me se kar diya.


Dusra Hissa (Ayat 33-70) - Allah Ki Qudrat Ki Nishaniyan:

Allah farmata hai: Murda zameen hamari nishani hai, hum usko zinda karte hain, us se anaaj nikalte hain jo tum khate ho. Hum ne zameen par khajoor aur angoor ke baagh banaye, chashme jaari kiye. Raat bhi nishani hai, hum din ko us se kheench lete hain to andhera ho jata hai. Suraj apni had tak chal raha hai, ye Zabardast, Ilm wale ka andaza hai. Chand ke liye hum ne manzilein muqarrar ki hain, yahan tak ke purani khajoor ki tehni jaisa ho jata hai. Na Suraj Chand ko pakad sakta hai na Raat Din se aage nikal sakti hai, sab apne apne falak me tair rahe hain.


Teesra Hissa (Ayat 71-83) - Qayamat Aur Akhirat:

Jab Soor phoonka jayega to sab qabron se nikal kar apne Rab ki taraf daudenge. Kahenge Haye! Humein kisne qabron se utha diya? Ye wahi hai jiska Rahman ne wada kiya tha. Aaj kisi par zulm na hoga, Jannat wale aaj maza me hain, wo aur unki biwiyan saayon me takhton par takiya lagaye baithe hain. Salaam! Meherban Rab ka qaul hoga.


Aur Allah farmayega: Kun! Ho Ja! Aur Fayakoon! Ho Jata Hai. Paak hai wo zaat jiske haath me har cheez ki baadshahi hai aur usi ki taraf tum laut kar jaoge.


SURAH YASEEN KI FAZILAT:


1. Tirmizi Sharif ki Hadees hai: Har cheez ka dil hota hai, aur Quran ka dil Surah Yaseen hai.

2. Jo shakhs subah ke waqt Surah Yaseen parhega, uska din asaan ho jayega.

3. Marne wale ke paas Surah Yaseen parhne se sakraat me asaani hoti hai.

4. Jo raat ko Allah ki raza ke liye Yaseen parh kar soye, uske gunah maaf ho jate hain.

5. Is Surah se rizq me barkat, pareshani me asaani, aur dil ko sukoon milta hai.


MUJARRAB WAZAIF:


Wazifa 1 - Har Hajat Ke Liye: Roz Fajar ke baad 1 baar Yaseen, Awwal Aakhir 3 baar Durood. 7 din tak.


Wazifa 2 - Rizq Aur Qarz Ke Liye: Roz subah 1 baar Yaseen parhein, Allah karobar me barkat dega.


Wazifa 3 - Bimari Ke Liye: 41 din tak 1 baar parh kar pani par dam karke pilayein.


Wazifa 4 - Maghfirat Ke Liye: Har Jumerat ki raat 1 baar parh kar marhoomeen ko sawab pohchayein.


Parhne Ka Tareeqa: Wazu karein, Qibla rukh baithein, 3 baar Durood, Yaseen parhein, phir dua karein.


Allah hum sab ko amal ki taufeeq de. Amee

Mujhe Yahan Follow Karein - Mere 9 Official Page


1.  Mera Blogger (Main Website): https://allahke99naam-ayesh.blogspot.com

2.  YouTube Channel: https://www.youtube.com/@Allahke99Naam-Ayesh

3.  TikTok: https://www.tiktok.com/@islami.wazaif.offi

4.  Facebook Page: https://www.facebook.com/share/1EbChXuqS4/

5.  Instagram: https://www.instagram.com/officialislamiwazaif (officialislamiwazaif)

6.  Pinterest: https://www.pinterest.com/islamicwazaif78600

7.  Quora: https://www.quora.com/profile/Islami-Wazaif-Official-1

8.  Medium: https://medium.com/@naza036858

9.  LinkedIn: https://www.linkedin.com/in/ayesha-naaz-a70439434


Comments

Popular posts from this blog

Surah Hamza

Surah Tagabun Ki Fazilat

Al-Bari ka Matlab Kya Hai? Paida Karne Wala