Surah Muhammad
Surah Muhammad Quran-e-Pak ki 47th Surah hai jo Para 26 me hai. Ye Madni Surah hai aur iski 38 Ayat hain. Iska dosra naam Surah Qital bhi hai kyunki isme Jihad aur Qital ka zikr hai. Ye Surah Nabi Pak Hazrat Muhammad S.A.W ke naam par hai. Is Surah me Momin aur Munafiq ki pehchan batayi gayi hai aur Allah ki rah me ladne walon ki fazilat bayan ki gayi hai.
*Surah Muhammad Ka Tarjuma (Khulasa):*
Is Surah ki ibtida me farmaya gaya ke jo log kafir hain aur Allah ki rah se rokte hain unke amal zaya ho gaye. Aur jo log Iman laye aur Nek Amal kiye aur jo Muhammad S.A.W par nazil hua us par Iman laye unke gunah maaf kar diye jayenge. Is Surah me Jannat ka naqsha bhi bayan hua hai jisme 4 nehren hain, Pani ki, Doodh ki, Sharab-e-Tahur ki aur Shehed ki. Aur Jahannamiyon ka zikr bhi hai jo kholta hua pani piyenge.
*Surah Muhammad Ki Fazilat:*
Buzurgon ne Surah Muhammad ki bohat fazilat bayan farmayi hai. Jo shakhs is Surah ko rozana parhega:
1. Dushman ke shar se mehfooz rahega. Agar koi dushman tang kar raha ho to Surah Muhammad ka wazifa behtareen hai.
2. Qarz se nijat milti hai. Agar karz me phans gaye hain to ye Surah rozana parhen.
3. Allah usko Deen ki samajh ata farmata hai.
4. Munafiqat dil se nikal jati hai aur Iman mazboot hota hai.
5. Maidan-e-Mehshar me Nabi Pak S.A.W ki shafaat naseeb hogi.
6. Jo isko likh kar apne pas rakhega har bala aur jadu se hifazat me rahega.
*Surah Muhammad Ke Mujarrab Wazaif:*
*1. Dushman Se Hifazat Ka Wazifa:*
Agar koi dushman jaan ka dushman ban gaya ho, har waqt tang karta ho, nokri me ya karobar me rukawat dalta ho to Surah Muhammad ko 21 din tak rozana 1 martaba Fajr ke baad parhen. Awal akhir 11 martaba Drood Shareef. InshaAllah dushman khud ba khud zaleel ho jayega aur aapko tang karna chor dega. Ye amal bohat mujarrab hai.
*2. Qarz Aur Tangdasti Ka Wazifa:*
Jo shakhs qarz me doba hua ho aur koi rasta na ho to Surah Muhammad ko rozana Isha ke baad 1 dafa 40 din tak parhe. Allah ghaib se madad farmayega aur qarz utarne ka sabab paida ho jayega. Wazifa ke dauran sach bolna aur haram se bachna zaruri hai.
*3. Hajat Puri Karne Ka Wazifa:*
Koi jaiz hajat ho, shadi ka masla ho, aulaad ka masla ho to Jumma ke din Surah Muhammad ko 3 martaba parh kar dua karen. 7 Jumma tak ye amal karen, hajat puri hogi.
*4. Jadu Aur Nazar Se Hifazat:*
Agar ghar me jadu, bandish, nazar ka asar ho to Surah Muhammad ko pani par 3 dafa parh kar dam karke ghar me chirak den aur ghar walon ko pila den. 7 din tak ye amal karen.
*Khatma:*
Surah Muhammad ek azeem Surah hai. Iska rozana wird insan ko duniya aur akhirat dono me kamyab karta hai. Hume chahiye ke isko apne mamulat me shamil karen aur iske fayuzo barkat se faida uthayen. Allah hum sab ko amal ki tofeeq de. Ameen.
@AllahKe99Naam-ayesh

God bless you
ReplyDelete