Surah Quraish
*Drood Ibrahimi Ka Mukammal Tarjuma, Fazilat Aur Mujarrab Wazifa*
Drood Ibrahim ko Namaz wala Drood bhi kehte hain. Ye sab Droodon ka Sardar hai. Jo Drood hum Namaz me parhte hain wahi Drood Ibrahimi hai. Is Drood ki fazilat bohat zyada hai. Allah ne Quran me farmaya: Beshak Allah aur uske Farishte Nabi par Drood bhejte hain, Aye Iman walo tum bhi un par Drood aur Salam bhejo. Jo shakhs Drood Ibrahimi ko rozana parhega uski har mushkil asan ho jayegi.
*Drood Ibrahimi Ka Tarjuma:*
Aye Allah! Rehmat nazil farma Muhammad S.A.W par aur Aale Muhammad par jaise tune rehmat nazil farmayi Ibrahim A.S par aur Aale Ibrahim par, Beshak Tu tareef ke qabil buzurg hai. Aye Allah! Barkat nazil farma Muhammad S.A.W par aur Aale Muhammad par jaise tune barkat nazil farmayi Ibrahim A.S par aur Aale Ibrahim par, Beshak Tu tareef ke qabil buzurg hai.
*Drood Ibrahim Ki Fazilat:*
Hadees me hai jo shakhs mujh par 1 dafa Drood bhejta hai Allah us par 10 rehmatain bhejta hai, uske 10 gunah maaf karta hai, uske 10 darje buland karta hai.
1. Har dua se pehle aur baad me Drood parhne se dua qabool hoti hai.
2. Drood Ibrahimi parhne se dil ko sukoon milta hai aur gham door hote hain.
3. Rizq me barkat hoti hai aur tangdasti door hoti hai.
4. Qayamat ke din Nabi Pak S.A.W ki shafaat naseeb hogi.
5. Jo kasrat se Drood parhega usko khawab me Nabi Pak S.A.W ki ziyarat naseeb hogi.
6. Jadu, Nazar, Jinnat se hifazat rehti hai.
7. Gunah maaf hote hain aur darjaat buland hote hain.
*Drood Ibrahim Ke Mujarrab Wazaif:*
*1. Har Hajat Puri Karne Ka Wazifa:*
Agar koi hajat ho, koi kaam ruka hua ho to rozana 1000 martaba Drood Ibrahimi parhen. 11 din tak ye amal karen. Awal akhir 1 dafa Bismillah. InshaAllah har jaiz hajat puri hogi. Ye wazifa buzurgon ka azmaya hua hai.
*2. Rizq Aur Karz Ka Wazifa:*
Jo shakhs tangdasti me ho, karz me ho to rozana Fajr ke baad 313 martaba Drood Ibrahimi parhe. 40 din tak parhe, rizq ke darwaze khul jayenge.
*3. Depression Aur Bechaini Ka Wazifa:*
Agar dil bechain ho, neend na ati ho to raat ko sone se pehle 100 martaba Drood Ibrahimi parh kar so jayen. Dil ko sukoon milega aur achi neend aayegi.
*4. Aulad Ke Liye Wazifa:*
Jin ke yahan aulad na ho woh miyan biwi dono rozana 500 martaba Drood Ibrahimi parhen aur aulad ke liye dua karen. Allah nek saleh aulad ata farmayega.
*5. Shadi Ka Wazifa:*
Jin ladkiyon ki shadi me rukawat ho woh rozana 313 martaba Drood Ibrahimi Isha ke baad parhen. 41 din me rishta pakka ho jayega.
*Parhne Ka Sahi Tarika:*
Wazu ke sath, adab ke sath, Qibla rukh baith kar Drood parhen. Drood parhte waqt duniyawi baaten na karen. Mohabbat ke sath parhen.
*Khatma:*
Drood Ibrahimi sab se afzal ibadat hai. Is Drood ko apni zindagi ka hissa bana len. Jo shakhs is Drood ko kasrat se parhega woh duniya aur akhirat me kamyab hoga. Allah hum sab ko kasrat se Drood parhne ki tofeeq de. Ameen.
@AllahKe99Naam-ayesh

Maa shaa Allah
ReplyDeleteSubhan Allah
ReplyDelete